Friday, March 2, 2012

Dard

Jab jab dard ka baadal chaaya
Jab gham ka saaya lehraaya
Jab aasun palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraaya

Humne dil ko yeh samjhaaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yuun hee hota hai

Yeh jo gehre sannate hai
Waqt ne sabko hee bante hai
Thoda gham hai sabka kissa
Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar he namm hai
Har pal ek naya mausam hai
kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

-- [Javed Akhtar]